Monday, May 16, 2011

KUCHH HAI JO BADAL RHA HAI..


Kuch hai jo badal raha hai par pata nhi chal rha hai:(

Waqt ki aandhiyaan har katre ko uda jaati hai….aur bilkul usi tarah ab ye 4 saal ka safar samapti pr aa gya..Jo pal aaj saamne hai,yhi wo pal tha jiski pratiksha humne 1st yr se ki thi….

Aaj us pal k itne kareeb hokar agar gham nhi hai to,khusi v khaas mehsoos nhi ho rhi..

Bas yun lag rha hai jaise kuch to hai jo badal rha hai..kuch hai jo bahut pehle badal gya……

Kuch hai jo chhut rha hai….kuch ajeeb ho rha hai….par pta nhi chal rha hai.

Bas jaatein jaatein kuch yaadon k akhs hai, kuch aankhon k ashq hai…

jo baar baar.. mazbur kr rhe hai…apne dil k ek hisse ko,jehan me base ek dard ko shabdon me dhaalne...

Guzre pal na jaane zindagi k kitne rang samete rukhsati k mod pr khade hokar izazat maang rhe hai jaane ki…

Par kuch karz hai in 4 saalon ka jo yda kda gaalon pr gadhhe faila gya…

Kuch der k liye hi sahi,hume khusiyon k zannat se roobaroo kra gya…

Kai tarah k log mile

Kuch waadon ko todte milein aur kuch yaadon me tutte dikhe..

Kuch khwaiisho me udte dikhe,to kuch rishton ko jodte…

aur ant me hua yun ki ..

"kuch aznabi se dost bn gye aur kuch dost se aznabi..

aur ab chalte waqt jaane kyun aisa lgta hai ki..

kuchh hai jo badal gya tha,kuchh hai jo badal rha hai,

par pta nhi chal rha hai..."

ASHQ...



"Aankhon pe farz hai har waqt sawaali rehna..

ispar sajta nhi ashqon se khaali rehna.."



Aankhon ki khubsurati ka prakritik nikhaar kaajal se nhi,

ashq hi hai,bejubaan maasum ashq,jo dil ki har tadap,har aawaz ko sunkr

...
barbas aa jate hai aankhon me..

Is bhaagam bhaag ki duniya me jaha har taraf ek hod si lgi hui hai,ek dusre se aage nikalne ki,aasmaan chune ki,maasumiyat ka janaaza nikalne ki,aur raajneeti ko sar ka taaz bnane ki...agar in sab daudo k beech kuch bach jaata hai,wo jo aaj v is azeeb si daud me daanawta par maanawta ka prabhaw kuch der k liye hi sahi dikha jaata hai..wo ye ashq hi to hai..

kuch galat krte hai,to aatma ki fatkaar k roop me,

kuch kho de dete hai,to dil k dard k roop me,

kuch paa lete hai to khusi k roop me...

agar kuch hai jo har waqt nikal aata hai dukh sukh ka saathi bankar to wo ye bezubaan ashq hi to hai...

Biology k terms me Lacrymal gland se nikla ek maamuli sa secretion apne andar insaani jazbaato ka itna bada saagar samete rehta hai....

Aur hum kisi rote insaan ko dekhte hai aur badi aasani se keh dete hai..

dekho wo rotlu/rotli hai,wo niraasawadi hai,etc etc.......




"Aashayon k seher ko basane me jab lag jaaye pyaas...

to bas rhe in bezubaan maasum ashqon ka hi aas..."