Friday, September 7, 2012
EKLA CHALO RE.......
Monday, May 16, 2011
KUCHH HAI JO BADAL RHA HAI..
Kuch hai jo badal raha hai par pata nhi chal rha hai:(
Waqt ki aandhiyaan har katre ko uda jaati hai….aur bilkul usi tarah ab ye 4 saal ka safar samapti pr aa gya..Jo pal aaj saamne hai,yhi wo pal tha jiski pratiksha humne 1st yr se ki thi….
Aaj us pal k itne kareeb hokar agar gham nhi hai to,khusi v khaas mehsoos nhi ho rhi..
Bas yun lag rha hai jaise kuch to hai jo badal rha hai..kuch hai jo bahut pehle badal gya……
Kuch hai jo chhut rha hai….kuch ajeeb ho rha hai….par pta nhi chal rha hai.
Bas jaatein jaatein kuch yaadon k akhs hai, kuch aankhon k ashq hai…
jo baar baar.. mazbur kr rhe hai…apne dil k ek hisse ko,jehan me base ek dard ko shabdon me dhaalne...
Guzre pal na jaane zindagi k kitne rang samete rukhsati k mod pr khade hokar izazat maang rhe hai jaane ki…
Par kuch karz hai in 4 saalon ka jo yda kda gaalon pr gadhhe faila gya…
Kuch der k liye hi sahi,hume khusiyon k zannat se roobaroo kra gya…
Kai tarah k log mile
Kuch waadon ko todte milein aur kuch yaadon me tutte dikhe..
Kuch khwaiisho me udte dikhe,to kuch rishton ko jodte…
aur ant me hua yun ki ..
"kuch aznabi se dost bn gye aur kuch dost se aznabi..
aur ab chalte waqt jaane kyun aisa lgta hai ki..
kuchh hai jo badal gya tha,kuchh hai jo badal rha hai,
par pta nhi chal rha hai..."
ASHQ...
"Aankhon pe farz hai har waqt sawaali rehna..
ispar sajta nhi ashqon se khaali rehna.."
Aankhon ki khubsurati ka prakritik nikhaar kaajal se nhi,
ashq hi hai,bejubaan maasum ashq,jo dil ki har tadap,har aawaz ko sunkr
...
barbas aa jate hai aankhon me..
Is bhaagam bhaag ki duniya me jaha har taraf ek hod si lgi hui hai,ek dusre se aage nikalne ki,aasmaan chune ki,maasumiyat ka janaaza nikalne ki,aur raajneeti ko sar ka taaz bnane ki...agar in sab daudo k beech kuch bach jaata hai,wo jo aaj v is azeeb si daud me daanawta par maanawta ka prabhaw kuch der k liye hi sahi dikha jaata hai..wo ye ashq hi to hai..
kuch galat krte hai,to aatma ki fatkaar k roop me,
kuch kho de dete hai,to dil k dard k roop me,
kuch paa lete hai to khusi k roop me...
agar kuch hai jo har waqt nikal aata hai dukh sukh ka saathi bankar to wo ye bezubaan ashq hi to hai...
Biology k terms me Lacrymal gland se nikla ek maamuli sa secretion apne andar insaani jazbaato ka itna bada saagar samete rehta hai....
Aur hum kisi rote insaan ko dekhte hai aur badi aasani se keh dete hai..
dekho wo rotlu/rotli hai,wo niraasawadi hai,etc etc.......
"Aashayon k seher ko basane me jab lag jaaye pyaas...
to bas rhe in bezubaan maasum ashqon ka hi aas..."
Friday, September 24, 2010
SOME TOUCHING THOUGHTS........
1>Y do v ask sry evn wen v r nt wrong?
Y do v bend ourselvs as v cnt afford loosing them?
Y do v run 2help a buddy evn after bitter quarrel?
Y v get consoled only wen v cry on their shoulders who made us cry?
Bcoz
Sm pains r more enjoyd dan hapines..!
Sm relations r more satisfactry dan self-ego...!
Sm defeats r more triumphant dan victory...!
&
Sm moments r more precious dan breath...!!!
2>Don't Share Your Top Secrets With Anyone..
Because,
If You Can't Keep Your Secrets, Don't Expect Somebody To Keep It...!
3>What s luv?
When there are 3apples nd the members are 4..!
Mom says " i dont like apple."
4>A drop of tear is costlier than anything else in the world.
But no one knows it's value, until they have it in their own eyes for someone..
5>A woman, admitted in a hospital4 sufering frm brain tunn.
Her husband,relations, al were around her,and within a few hrs,she died.
Her husband became ill since he cried the whole day.
He returned home the next day only.
Wen he opened his wife's cupboard,he found sum tablets kept in a letter in which was writen,
"TAKE THESE TABLETS DEAR. I know u catch cold easily after crying...." LOVE ROCKS.& MAKE IT LIVE LONG"..
6>U can live without d person who says
"U R MINE"
But u can NEVER live without some 1 who says
"I M YOURS!"
7>Sum tough Battles hv to be fought alone. Sum paths hv to be crossed alone.So,never emotionaly get attached 2 any1.U nvr knw wen u hv to walk alone...
Tuesday, September 21, 2010
APNI DUNIYA ME REHNA ACHHA LAGTA HAI.......
apni duniya me rehna achha lagta hai,,
toote hai sapne,toote sapno sang rehna achha lagta hai..
chah badi thi dekhu is duniya ko main v,
dekh kar is duniya ka haal,ab akele rehna achha lagta hai...
Toote hai sapne,toote sapno k sang rhna achha lagta hai.
jab soch kar aage badhi,dukh hi dukh maine paye hai,,
shayad ye duniya mere liye nahi hai,
na jane kyun ham is duniya me aaye hai...
mujhko chhodkar jaana hi fir sbko achha lgta hai,
toote hai sapne,,toote sapno k sang rhna achha lgta hai.......
toote hai sapne,toote sapno sang rehna achha lagta hai..
chah badi thi dekhu is duniya ko main v,
dekh kar is duniya ka haal,ab akele rehna achha lagta hai...
Toote hai sapne,toote sapno k sang rhna achha lagta hai.
jab soch kar aage badhi,dukh hi dukh maine paye hai,,
shayad ye duniya mere liye nahi hai,
na jane kyun ham is duniya me aaye hai...
mujhko chhodkar jaana hi fir sbko achha lgta hai,
toote hai sapne,,toote sapno k sang rhna achha lgta hai.......
Friday, August 27, 2010
WAQT NAHI.............
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
Thursday, July 22, 2010
"Maa k aanchal me........."
Aaj naa jane kyu,rone ka man kiya,
Maa k aanchal me sar chhupa k sone ka man kiya.
Duniya ki is bhag daud me kho chuke the ristey sab,
Aaj fir un riston ko ek nye sire se sanjone ka man kiya.
Roz sapno se baatein krti thi mai,
Aaj naa jane kyu unse muh modne ka man kiya.
Jhoot bolti hu apne aap se roz mai,
Aaj naa jane kyu khud se ek sach bolne ka man kiya.
Dil todti hu sabka apni baaton se mai,
Aaj na jane kyu ek tuta hua dil jodne ka man kiya.
Aaj na jane kyu rone ka man kiya,
Maa k aanchal me sar chhupa k sone ka man kiya."
Subscribe to:
Posts (Atom)